People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 25 *

Aarati Kije Hanuman Lala Ki
Singer: Anup Jalota
Lyricist: Traditional
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/hanuman-aarti/B1spVQ5ddWQ
Video:
Aarti Kije Hanuman Lala Ki।
Dusht Dalan Ragunath Kala Ki॥
Jake Bal Se Girivar Kaanpe।
Rog Dosh Ja Ke Nikat Na Jhaanke॥

Anjani Putra Maha Baldaaee।
Santan Ke Prabhu Sada Sahai॥

De Beera Raghunath Pathaaye।
Lanka Jaari Siya Sudhi Laaye॥

Lanka So Kot Samundra-Si Khai।
Jaat Pavan Sut Baar Na Lai॥

Lanka Jaari Asur Sanhare।
Siyaramji Ke Kaaj Sanvare॥

Lakshman Moorchhit Pade Sakaare।
Aani Sajeevan Pran Ubaare॥

Paithi Pataal Tori Jam-kaare।
Ahiravan Ke Bhuja Ukhaare॥

Baayen Bhuja Asur Dal Mare।
Daahine Bhuja Santjan Tare॥

Sur Nar Muni Aarti Utare।
Jai Jai Jai Hanuman Uchaare॥

Kanchan Thaar Kapoor Lau Chhaai।
Aarti Karat Anjana Maai॥

Jo Hanumanji Ki Aarti Gaave।
Basi Baikunth Param Pad Pave॥
Prabal Prem Ke
Singer: Anup Jalota
Music: Anup Jalota
Lyricist: Devotional
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/prabal-prem-ke-pale-padkar/RCMqBE1DdHY
Video:
Prabal Prem Ke Pale Pad Ke,
Prabhu Ka Niyam Badalte Dekha ।
Apna Maan Bhale Tal Jaye,
Bhakt Ka Maan Na Talte Dekha ॥
Jinki Kewal Kripa Drshti Se,
Sakal Vishwa Ko Palte Dekha ।
Usko Gokul Ke Makhan Par,
Sau-sau Baar Machalte Dekha ॥

Jinka Dhyan Biranchi Shambhu,
Sankadik Na Sanbhalte Dekha ।
Usko Baal Sakha Mandal Mein,
Lekar Gend Uchhalte Dekha ॥

Jinke Charan Kamal Kamla Ke,
Kartal Se Na Nikalte Dekha ।
Usko Gokul Ki Galiyon Mein,
Kantak Path Par Chalte Dekha ॥

Jinki Vakr Bhrkuti Ke Bhay Se,
Sagar Sapt Ubalte Dekha ।
Usko Maan Yashoda Ke Bhay Se,
Ashru Bindu Drg Dhalte Dekha ॥

Prabal Prem Ke Pale Pad Ke,
Prabhu Ka Niyam Badalte Dekha ।
Apna Maan Bhale Tal Jaye,
Bhakt Ka Maan Na Talte Dekha ॥
Aaj Tumhara Janam Diwas Hain
Lyricist: Kanta Pala
Tag: hindi
Audio: https://music.youtube.com/watch?v=vbY7MxlQwDU&list=RDAMVMvbY7MxlQwDU
Video:
Aaj Tumhara Janam Diwas Hain Parabrahma Avatari
Saari Shristi Magal Gaaye Jai Sai Shubhkari
Happy Birthday to You Happy Birthday to You.........

Nirakar Ne Aaj Roop Sakar Liya Dharti Par
Bharath Bhagya Vidhata Kehalaya Hain Puttaparthi Par
Dharthi Sagar Ambar Naache Sab Tum Par Balihari
Saari Shristi Magal Gaaye Jai Sai Shubhkari
Happy Birthday to You Happy Birthday to You.........

Kabse Aas Lagayethe Sai Lenge Avatar
Bhakthonke Sab Paap Katenge Pahuchenge Bhav Paar
Milgaye Sai Mein Shiv Shakthi Aur Siya Ram Giridhari
Saari Shristi Magal Gaaye Jai Sai Shubhkari
Happy Birthday to You Happy Birthday to You.........

Swarg Lok Se Pushponki Varsha Hone Ki Hain
Sai Ke Darshan Se Bhakton Ne Aakhein Bharli Hain
Ek Jhalak Sai Ki Karti Jeevan Mangalkari
Saari Shristi Magal Gaaye Jai Sai Shubhkari
Happy Birthday to You Happy Birthday to You.........

Happy Birthday to you Happy Birthday to you.........
Kanha Mere Giridhara Gopal
Lyricist: Kishan Paliwal
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/kanha-mere-girdhar-gopal/Q1wmSwdfTVc
Video:
Chham Chham Baje Payal Basuri Ke Sang
Gopiya Nache Sab Radha Ke Sang

Kanha Mere Girdhar Gopal
Kanha Mere Girdhar Gopal
Kanha Mere Girdhar Gopal
Kanha Mere Girdhar Gopal

Tere Hi Hatho Mein Bhagy Hai Sab Ka
Tere Hi Hatho Mein Bhagy Hai Sab Ka
Kar De Mujhe Mala Mal
Kar De Mujhe Mala Mal

Kanha Mere
Kanha Mere Girdhar Gopal
Kanha Mere Girdhar Gopal

Bhajti Hoon Shyam Tujhe Subaho Sham
Tere Siva Na Mukh Pe Koi Bhi Naam
Bhajta Hoon Shyaam Tujhe Subaho Shaam
Tere Siva Na Mukh Pe Koi Bhi Naam

Nit Jagau Tere Mandir Mein Jyoti
Ab To Jaga De Mere Kismat Soti
Kar De Mujhe Bhi Tu Nihal
Kar De Mujhe Bhi Tu Nihal

Kanha Mere Girdhar Gopal
Kanha Mere Girdhar Gopal

Aasha Bhari Akhiyan Dekhe Tere Aur
Karde Mere Jeevan Mein Bhi Sukh Ki Bhor
Aasha Bhari Akhiyan Dekhe Tere Aur
Karde Mere Jeevan Mein Bhi Sukh Ki Bhor

Srushti Hai Sari Krushna Tere Charan Mein
Lele Mujhe Bhi Mohan Apani Sharan Mein
Sankat Se Mujhe Bhi Tu Nikal
Sankat Se Mujhe Bhi Tu Nikal

Kanha Mere Girdhar Gopal
Kanha Mere Girdhar Gopal

Sukh Shanti Ki Mujhe Dede Sogat
Karuna Ki Mujhpe Karade Barsat
Sukh Shanti Ki Mujhe Dede Sogat
Karuna Ki Mujhpe Karade Barsat

Sache Man Se Karti Hu Teri Main Pooja
Siva Tere Sumiran Ke Kaam Nahi Dooja
Ab Mujhko Bhi Tu Le Sambhal
Ab Mujhko Bhi Tu Le Sambhal

Kanha Mere Girdhar Gopal
Kanha Mere Girdhar Gopal
Kanha Mere Girdhar Gopal
Kanha Mere Girdhar Gopal

Chham Chham Baje Payal Basuri Ke Sang
Gopiya Nache Sab Radha Ke Sang
Chham Chham Baje Payal Basuri Ke Sang
Gopiya Nache Sab Radha Ke Sang.
Sri Ramachandra Kripalu
Singer: Anup Jalota
Music: Anup Jalota
Lyricist: Anup Jalota
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/shree-ramchandra/IlgJfj9bD1w
Video:
॥ Shriramachandra Kripalu॥

Śrīrāmacandra kr̥pālu bhajamana haraṇabhavabhayadāruṇaṁ.
Navakañjalocana kañjamukha karakañja padakañjāruṇaṁ. ।।1।।
Kandarpa agaṇita amita chavi navanīlanīradasundaraṁ.
Paṭapītamānahu taḍita ruciśuci naumijanakasutāvaraṁ. ।।2।।
Bhajadīnabandhu dinēśa dānavadaityavaṁśanikandanaṁ.
Raghunanda ānandakanda kośalachandra daśarathanandanaṁ. ।।3।।
Śiramukuṭakuṇḍala tilakacāru udāru-aṅgavibhūṣaṇaṁ.
Ājānubhuja śaracāpadhara saṅgrāmajitakharadūṣaṇaṁ. ।।4।।
Iti vadati tulasīdāsa śaṅkaraśeṣamunimanarañjanaṁ.
Mamahr̥dayakañjanivāsakuru kāmādikhaladalagañajanaṁ. ।।5।।
Main Nahi Makhan Khayo
Singer: Anup Jalota
Music: Anup Jalota
Lyricist: Anup Jalota
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/main-nahi-maakhan-khayo/XTgecAFmXFc
Video:
Maiya moriii
Maiya mori, maiya mori(X2)

Main nahin makhan khayoX2

Maiya mori
Main nahin makhan khayo

Maiya mori bhor bhayo gaiyan pache
Tune madhuban mohe paathayo

Bhor bhayo gaiyan pache
Tune madhuban mohe paathayo

Char prahar banshi bat bhatkeo
Sanjh pare mein ghar aayo

Re maiya mori main kab makhan khayo(X2)

Bhor bhayo
Bhor bhayo oo bhor
Gaiyan ke pache tune madhuban mohe paathayo

Bhor bhayo
Bhor bhayo oo
Bhor bhayo gaiyan ke pache
Tune madhuban mohe paathayo

Char prahar bansi bat bhatkeo
Sanjh pare-aeae mein ghar aayo
Sanjh pare mein ghar aayo

Re maiya mori main kab makhan khayo(X2)

Maiya mori
Main balak baiyan ko choto, choto
Choto-choto, choto choto

Main balak baiyan ko choto
Yeh jhik ko kis bidhi paaiyo
Yeh jhik ko kis bidhi paaiyo

Maiya ye gwal bal sab bair pare hai
Yeh gwal bal sab bair pare hai
Bar bas mukh laptayo

Re maiya mori main nahin makhan khayo
Maiya mori main nahin makhan khayo
Rama Charan Sukhdai
Singer: Anup Jalota
Music: Anup Jalota
Lyricist: Anup Jalota
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/ram-charan-sukhdai/RAE4VQ1gbXI
Video:
Bhajman Ram Charan Sukhdayi, Bhajman Ram Charan Sukhdayi ॥

Jihi Charananse Nikasi Sursari Sankar Jata Samai ।
Jatasankari Naam Parayo Hai, Tribhuvan Taran Aai ॥
॥ Bhajman Ram Charan Sukhdayi… ॥

Jin Charananki Charanpaduka Bharat Rahyo Lav Lai ।
Soi Charan Kevat Dhoi Leene Tab Hari Naav Chalai ॥
॥ Bhajman Ram Charan Sukhdayi… ॥

Soi Charan Sant Jan Sevat Sada Rahat Sukhdai ।
Soi Charan Gautamrishi-nari Parsi Parampad Pai ॥
॥ Bhajman Ram Charan Sukhdayi… ॥

Dandakaban Prabhu Pawan Keenho Rishiyan Traas Mitai ।
Soi Prabhu Trilokake Swami Kanak Mriga Sang Dhai ॥
॥ Bhajman Ram Charan Sukhdayi… ॥

Kapi Sugreev Bandhu Bhay-byakul Tin Jay Chhatr Phirai ।
Ripu Ko Anuj Bibhishan Nisichar Parsat Lanka Pai ॥
॥ Bhajman Ram Charan Sukhdayi… ॥

Siv Sanakadik Aru Brahmadik Sesh Sahas Mukh Gai ।
Tulsidaas Marut-sutaki Prabhu Nij Mukh Karat Badai ॥
॥ Bhajman Ram Charan Sukhdayi… ॥

Bhajman Ram Charan Sukhdayi, Bhajman Ram Charan Sukhdayi ॥
Aisi Lagi Lagan
Singer: Anup Jalota
Music: Anup Jalota
Lyricist: Anup Jalota
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/aisi-lagi-lagan/BR0JUFlVe1A
Video:
Hai Aankh Woh
Hai Aankh Woh Jo Shyam Ka Darshan Kiya Kare
Hai Shish Jo Prabhu Charan Mein Vandan Kiya Kare
Bekar Woh Mukh Hai
Bekar Woh Mukh Hai Jo Rahe Vyarth Baaton Mein
Bekar Woh Mukh Hai Jo Rahe Vyarth Baaton Mein
Mukh Woh Hai Jo Hari Naam Ka Sumeeran Kiya Kare

Heere Moti
Heere Moti Se Nahi Shobha Hai Hath Ka
Hai Hath Jo Bhagwan Ka Pujan Kiya Kare
Mar Kar Bhi Amar Naam Hai Us Jeev Ka Jag Me
Prabhu Prem Me Balidaan Jo Jeevan Kiya Kare

Aisi Lagi Lagan, Aisi Lagi Lagan
Aisi Lagi Lagan, Aisi Lagi Lagan
Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gayi Magan
Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gayi Magan
Woh To Gali Gali Gali Gali Hari Gun Gane Lagi

Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gayi Magan
Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gayi Magan
Woh To Gali Gali Gali Gali Hari Gun Gane Lagi

Mahelo Mei Pali Banke Jogan Chali
Mahelo Mei Pali Banke Jogan Chali
Meera Rani Diwani Kahane Lagi
Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gayi Magan
Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gayi Magan

Rana Ne Vish Diya Mano Amrut Piya
Meera Sagar Me Sarita Samane Lagi
Rana Ne Vish Diya Mano Amrut Piya
Meera Sagar Me Sarita Samane Lagi
Dukh Lakho Sahe Mukh Se Govind Kahe
Meera Govind Gopal Gane Lagi
Woh To Gali Gali Hari Gun Gane Lagi

Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gayi Magan
Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gayi Magan
Woh To Gali Gali Gali Gali Hari Gun Gane Lagi

Mahelo Mei Pali Banke Jogan Chali
Meera Rani Diwani Kahane Lagi
Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gayi Magan
Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gayi Magan

Koi Roke Nahi Koi Toke Nahin
Meera Govind Gopala Gane Lagi
Koi Roke Nahi Koi Toke Nahin
Meera Govinda Gopala Gane Lagi

Baithi Santo Ke Sang Rangi Mohan Ke Rang
Meera Premi Preetam Ko Manane Lagi
Wo To Gali Gali Hari Gun Gane Lagi

Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gayi Magan
Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gayi Magan
Woh To Gali Gali Gali Gali Hari Gun Gane Lagi

Mahelo Mei Pali Banke Jogan Chali
Meera Rani Deewani Kahane Lagi
Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gayi Magan
Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gayi Magan
Woh To Gali Gali Gali Gali Hari Gun Gane Lagi

Mahelo Mei Pali Banke Jogan Chali
Mahelo Mei Pali Banke Jogan Chali
Meera Rani Deewani Kahane Lagi
Woh To Gali Gali Gali Gali Hari Gun Gane Lagi.
Bhasma Bhushitanga Sai
Singer: Anup Jalota
Lyricist: Bhajan
Tag: bhajan
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/bhasma-bhushi/GC4cZxl1ZGI
Bhasma Bhooshithanga Sai Chandra Shekhara
Phala Netra Shoola Dhari Sai Shankara
Bhasma Bhooshitanga Sai Chandra Shekhara
Hara Hara Hara Shiva Shambho Natana Shekhara
Parthi Vasa Sai Deva Sai Shankara
Sai Shankara Sathya Sai Shankara
Yeh Bhakthi Ka Bhandar
Singer: Anup Jalota
Music: Jeetu Tapan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Sampoorna-Sant-Darshanam/Yeh-Bhakti-Ka-Bhandar/EQsMASZbaHw
Video:
ye bhakti ka bhandaar
ye mukti ka hai dwaar
ye bhakti ka bhandaar
ye mukti ka hai dwaar
tum kumbh mela dekh lo
bhai kumbh mela
ye bhakti ka bhandaar
ye mukti ka hai dwaar
ye bhakti ka bhandaar
ye mukti ka hai dwaar

chaaro or sugandh hai anand hi ananad hai
chaaro or sugandh hai anand hi ananad hai
saare nar nari lagte hai vedo ke bikhare chhand hai
vedo ke bikhare chhand hai
sabke hai bade vichaar
sab ke man me hai pyaar
sabke hai bade vichaar
sab ke man me hai pyaar
tum kumbh mela dekh lo
bhai kumbh mela
ye bhakti ka bhandaar
ye mukti ka hai dwaar
ye bhakti ka bhandaar
ye mukti ka hai dwaar

rishiyon muniyo ki vaani hai
har koi lagta gyaani hai
rishiyon muniyo ki vaani hai
har koi lagta gyaani hai
jo is mele me ghum raha
bhagwaan rup wo praani hai
bhagwaan rup wo praani hai
hai dharam hi aadhaar, ye aisa hai sansaar
hai dharam hi aadhaar, ye aisa hai sansaar
tum kumbh mela dekh lo
bhai kumbh mela
ye bhakti ka bhandaar
ye mukti ka hai dwaar
ye bhakti ka bhandaar
ye mukti ka hai dwaar

ye sant mahant anant are
is bheed me sare dev phire
ye sant mahant anant are
is bheed me sare dev phire
is mahakumbh ke mele me
brahma vishnu shankar vichre
brahma vishnu shankar vichre
ye swaym ek avtaar
bhagwaan khade saakaar
ye swaym ek avtaar
bhagwaan khade saakaar
tum kumbh mela dekh lo
bhai kumbh mela
ye bhakti ka bhandaar
ye mukti ka hai dwaar
ye bhakti ka bhandaar
ye mukti ka hai dwaar
Raghupati Raghava
Singer: Anup Jalota
Music: Jeetu Tapan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Sampoorna-Sant-Darshanam/Raghupati-Raghaba/QiUHByYDQEI
Video:
raghupati raghav raja raam
patit paawan sita raam
raghupati raghav raja raam
patit paawan sita raam
jay raghunandan jay siyaraam
jaanki vallabh seeta raam
jay raghunandan jay siyaraam
jaanki vallabh seeta raam
raghupati raghav raja raam
patit paawan sita raam
raghupati raghav raja raam
patit paawan sita raam

jay raghunandan jay siyaraam
jaanki vallabh seeta raam
jay raghunandan jay siyaraam
jaanki vallabh seeta raam
raghupati raghav raja raam
patit paawan sita raam
siyaraam, siyaraam
siyaraam, siyaraam
Chalti Chakki Dekh Ke
Singer: Anup Jalota
Music: Jeetu Tapan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Sampoorna-Sant-Darshanam/Chalti-Chakki-Dekh-Ke/OzcmYUVjeUM
Video:
chalti chakki dekh ke
deeya kabira roye
do paatan ke bich me
saabit bacha na koye

maati kahe kumhaar se
tu kya raunde mohe
ek din aisa aayega
main raundungi tohe

kabira sangti saadhu ki
hare jagat ki vyadi
ochhi sangti nich ki
aatho pehar upaadhi

kabira khada bazaar me
sabki maange khair
na kaahu se dosti
na kaahu se bair
na kaahu se dosti
na kaahu se bair
Bera Paar Karna Maa
Singer: Anup Jalota
Music: Bappi Lahiri
Album: Saamri(1985)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/3d-Saamri/Bera-Paar-Karna-Maa/Jx9YBjkIBXk
Video:
gabar sher par kare sawari jabardast mata
hamari jabardast mata
bada purana apna jagdamba se hai naata
beda paar karna maa dust sanghar karna maa
beda paar karna maa dust sanghar karna maa
gabar sher par kare sawari jabardast mata
hamari jabardast mata
bada purana apna jagdhama se hai naata
beda paar karna maa dust sangahar karna maa
beda paar karna maa dust sangahar karna maa
samri samri samri jai kali jai kali jai kali

tere chran ki sahran me janni
aaj samri aaya aaj samri aaya
saravnaash kare ye paap ka
de shakti maha maya de shakti maha maya
ye mahisasur mardini jamana tere gun gata
beda paar karna maa dust sangahar karna maa
beda paar karna maa dust sangahar karna maa
samri samri samri samri samri samri
jai kali jai kali jai kali jai kali jai kali jai kali

gabar sher par kare sawari jabardast mata
hamari jabardast mata
bada purana apna jagdamba se hai naata
beda paar karna maa dust sanghar karna maa
beda paar karna maa dust sanghar karna maa
gabar sher par kare sawari jabardast mata
Sabse Pyara Mere Sai
Music: Anup Jalota
Lyricist: Rajan Johri
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Maalik-Ek/Sabse-Pyaara-Mera-Sai-Baba/QjJfWDpVaAA
Video:
aaj raksha bandhan ka din pawan ye tyohar
pehle mujhko bandh o behna kab se mai tayar
tujhko bandu bad me pehle bandu us bhai ko
jo sab ka hai, sab hai uske us pyare sai ko
aaj rakhi ka tyohar laya sabke maan me pyar
sabse pyara sabse nyara mera sai baba
sabse pyara sabse nyara mera sai baba
mera bhai taran hara mera sai baba
mera bhai taran hara mera sai baba
sabse pyara sabse nyara mera sai baba
mera bhai taran hara mera sai baba
mera bhai taran hara mera sai baba

rakhi jode us rishte ko tut nahi jo paye
rakhi jode us rishte ko tut nahi jo paye
bandhwa ke rakhi behna se bhai vachan nibhaye
rang birangi rakhi me jivan ke rang samaye
har din sai humse milne rup badal kar aaye
sabki khatir khole dwara mera sai baba
mera bhai taran hara mera sai baba
mera bhai taran hara mera sai baba
sabse pyara sabse nyara mera sai baba
mera bhai taran hara mera sai baba
mera bhai taran hara mera sai baba

prem ka dhaga bandha jisne usne har sukh paya
prem ka dhaga bandha jisne usne har sukh paya
mera bhai kaha kho gaya kyo mujhko bisraya
ek na ek din milega mujhko mera khoya bhai
bandh ke rakhi maine tumko tumse aas lagai
har jivan ka bane sahara mera sai baba
sabse pyara sabse nyara mera sai baba
mera bhai taran hara mera sai baba
mera bhai taran hara mera sai baba
mera sai baba, sai baba, sai baba
mera sai, mera sai baba
mera sai, mera sai baba
mera sai baba, mera sai baba
mera sai baba, mera sai baba
mera sai baba, mera sai baba
mera sai baba, mera sai baba
sai baba o sai baba
sai baba o sai baba
mera sai baba, mera sai baba
mera sai baba, mera sai baba
mera sai baba, mera sai baba
mera sai baba, mera sai baba
Sai Naam Mein Jaadu Aisa
Singer: Anup Jalota
Music: Anup Jalota
Lyricist: Manoj Kumar
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Maalik-Ek/Sai-Naam-Mein-Jadoo-Aisa/IS4BQR1XDlo
Video:
baba sai baba sai baba
purab paschhim utar dakshin tirth bade mahaan
ode chunariya dhani ud ud kar ye kahe chunariya
sun lo ik kahani sabki siradi hai rajdhani
gaaye hawaye chaaro dishaaye
sai sai sai sai sai sai sai sai
sai sai sai sai sai sai sai sai

sai naam me jadu aisa
sai naam me jadu aisa, sai naam man bhaye re
sai naam me jadu aisa, sai naam man bhaye re
man ki sirdi tab tak suni, jab tak sai na aaye re
sai naam me jadu aisa

kaisa mai aau sharn tihari, kaise padhu mai charan tihare
kaisa mai aau sharn tihari
kaisa mai aau sharn tihari, kaise padhu mai charan tihare
kaise gau gatha teri, sai sai sai sai sai
kaise gau gatha teri, koi samjh na paye re
sai naam me jadu aisa, sai naam man bhaye re
sai naam me jadu aisa

tu hi kaba tu hi kashi, das ganu tere dar ka vasi
tu hi kaba tu hi kashi
tu hi kaba tu hi kashi, das ganu tere dar ka vasi
das ganu tere dar ka vasi, das ganu tere dar ka vasi
das ganu tere dar ka vasi, das ganu tere dar ka vasi
kaise bharta sabki jholi, sai sai sai sai sai
kaise bharta sabki jholi, bhed samjh na aaye re
sai naam me jadu aisa
sai naam me jadu aisa, sai naam man bhaye re

man ki sirdi tab tak suni, jab tak sai na aaye re
sai naam me jadu aisa, sai ram sai ram
sai ram sai shyam, sai ram sai shyam
sai ram sai shyam
idar udar kyu bhatke bande, tere honge vare nyare
jisne man me sai ko rakha,vo kabhi na himmat hare
niyat hai jiski nek, uska malik ek
ho uska malik ek, uska malik ek
sai ram sai shyam, sai ram sai shyam
sai ram sai shyam, sai ram sai shyam
sai ram sai shyam, sai ram sai shyam
sai ram sai shyam, sai ram sai shyam
Yeh Desh Hamara Hai
Lyricist: Sanam Gorakhpuri
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hum-Bachhey-Hindustan-Ke/Yeh-
Video:
manchitar par kitna sundar desh hamara hai
aao iski sair kare aankho ka tara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai
manchitar par kitna sundar desh hamara hai
aao iski sair kare aankho ka tara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai

isi kile se chatrpati ji
tut pade the dushman par
unka hi vaykitav ghumta raha
manakavi bhushan par
chatar pal ne kavi bhushan ko
ek anutha man diya ek anutha man diya
mantar mughd hai ye par sang bhi kitna pyara hai
mantar mughd hai ye par sang bhi
kitna pyara hai ye desh hamara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai
ye desh hamara hai

isi bambai se gandhi ji tilak gokhle mahke the
sach pucho to angrejo ke pair yahi se ukhde the
aazadi lekar hi chode pran hamare bapu ne
pran hamare bapu ne aaj tarakki ki manzil ki
or sitara hai aaj tarakki ki manzil ki
or sitara hai ye desh hamara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai
ye desh hamara hai

hath me thi talwar
peeth par balak lekar nikli thi
aandhi or tufan se badhkar jhansi wali rani thi
rajguru sukhdev chandar sekhar ko
bhul nahi jana unko bhul nahi jana
jaliyawala bag tirth sathan hamara hai
jaliyawala bag tirth sathan hamara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai

agar chahte veer bhakat singh
le lete dushman ki jan
inkalab ka nara dene wale ki thi ye pahchan
vidya aur thi jivha apne
logo ne hi pran liya logo ne hi pran liya
bismilla asfak ulla se katil hara hai
bismilla asfak ulla se katil hara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai

rana ke bacho ko roti ghas ki bhi to nahi mili
aasman ki chadar bistar pathrili hi jami mili
bandh saki na kabhi gulami ki
janjir rana ko ye janjire rana ko
bharat mata ka ye beta bada dulara hai
bharat mata ka ye beta bada dulara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai

neta ji ke hunkaro se angrejo ki nind udi
neta ji ke fauladi se sena thi yaro khub ladi
neta ji ka nam hamare khun ko garmi deta hai
khun ko garmi deta hai
gaav gaav me gunj raha jaihind ka nara hai
gaav gaav me gunj raha jaihind ka nara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai

nehru ji ne damandeep aur gova me aazadi li
sikkam ki janta ko indra gandhi ne aazadi di
rajwado ko prem sutar me
ballab bhai ne bandha ballab bhai ne bandha
lala ji ke lahu ne pyare desh sawara hai
lala ji ke lahu ne pyare desh sawara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai

pond raj ki durgawati rani bahadur thi
aadiwasiyo ki devi wo neta aur bhawani thi
tara ke the veer kuwar singh ji
sher babbar kahlate the sher babbar kahlate the
chun chun kar anyayiyo ko dono ne mara hai
chun chun kar anyayiyo ko dono ne mara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai

keral ke madhyam menan karnatak ke teepu sultan
tamil ke gopal kesh vanchi sunlo gunji thi shan
aur udisa ke murlidhar panda ka tum nam likho
panda ka tum nam likho
nav parbhat ko ambedkar ne sawara hai
nav parbhat ko ambedkar ne sawara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai

is ghar ka himgir rakshak hai
sagar ki uthti lahre amrit ki dhara bahti hai
ganga jamuna ke jal me kashmir ki hawa hamari
tabiyat ko rang jati hai tabiyat ko rang jati hai
kahne ka ye matlab hai sukh vaibhav sara hai
kahne ka ye matlab hai sukh vaibhav sara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai

lakho aur karodo ne jab tyag kiya sab kuch apna
tab jakar bharat maa ne pahna aazadi ka gahna
is gahne ki raksha bache budhe aur jawan kare
budhe aur jawan kare
bhaichara sabhi nibhaye tabhi gujara hai
bhaichara sabhi nibhaye tabhi gujara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai

shardha bhakti se naman karo
sab milkar un sab veero ko
khel gaye jo jan pe hanste hanste
veer sahido ko aazadi ki sanse un
sabki hi saman dharohar hai
sabki hi saman dharohar hai
un par nyauchawar apna ye jiwan sara hai
un par nyauchawar apna ye jiwan sara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai
ye desh hamara hai ye desh hamara hai
Naino Mein Jal Bhar Bhar Aaye
Singer: Anup Jalota
Music: Jeetu Tapan
Lyricist: Nirmal Maharaj
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ganga-Kinare/Nainon-Mein-Jal-
naino me jal bhar bhar aaye
naino me jal bhar bhar aaye
ghanshyam baar baar yaad rulaaye
ghanshyam baar baar yaad rulaaye
naino me jal bhar bhar aaye

jag ke tum ho rachne wale
jag ke tum ho rachne wale
sanket tere se van upvan muskaaye
sanket tere se van upvan muskaaye
ho ghanshyam baar baar yaad rulaaye
naino me jal bhar bhar aaye

vyapt tera saundry gagan me
vyapt tera saundry gagan me
dekh dekh yaad prabhu aaye mere man me
dekh dekh yaad prabhu aaye mere man me
ghanshyam baar baar yaad rulaaye
naino me jal bhar bhar aaye

anupmagochar mahagochar tum ho
anupmagochar mahagochar tum ho
tere bhakt hi kaun ho tum ye samjhe
tere bhakt hi kaun ho tum ye samjhe
ghanshyam baar baar yaad rulaaye
naino me jal bhar bhar aaye

hanske ek baar chhabi dikhlaao
hanske ek baar chhabi dikhlaao
paiyaan laage narayan guru aa jaao
paiyaan laage narayan guru aa jaao
ghanshyam baar baar yaad rulaaye
naino me jal bhar bhar aaye
ghanshyam baar baar yaad rulaaye
ghanshyam baar baar yaad rulaaye
naino me jal bhar bhar aaye
Kaise Dhyan Karu
Singer: Anup Jalota
Music: Jeetu Tapan
Lyricist: Nirmal Maharaj
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ganga-Kinare/Kaise-Dhyan-Karo
kaise dhyaan karu mai bhagawan
kaise dhyaan karu mai bhagawan
aati nahi pooja ki vidhi
o abhishek karu mai kaise guruvar
abhishek karu mai kaise guruvar
haath jod karte vinti
haath jod karte vinti
kaise dhyaan karu mai bhagawan

kuch ho na saka mujhse aaradhyan
nahi jaante hum kuch bhi saadhan
arpit charno me tan man jeevan
arpit charno me tan man jeevan
haath jod karte vinti
haath jod karte vinti
kaise dhyaan karu mai bhagawan

vishv rup vishvaas rup tum
sukhdaayak sukhmul prabhu tum
sada sada hum rini tumhaare
sada sada hum rini tumhaare
haath jod karte vinti
haath jod karte vinti
kaise dhyaan karu mai bhagawan

he naarayan aadi shakti tum
aadi anaadi shunay ruop tum
harsh shok se pare prabhu tum
harsh shok se pare prabhu tum
haath jod karte vinti
haath jod karte vinti
kaise dhyaan karu mai bhagawan
kaise dhyaan karu mai bhagawan
aati nahi pooja ki vidhi
o abhishek karu mai kaise guruvar
abhishek karu mai kaise guruvar
haath jod karte vinti
haath jod karte vinti
kaise dhyaan karu mai bhagawan
kaise dhyaan karu mai bhagawan
Itse Aaye Raam
Singer: Anup Jalota
Music: Jeetu Tapan
Lyricist: Nirmal Maharaj
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ganga-Kinare/Itse-Aaye-Ram/JS
itse aaye rama, ut se aaye shyaam
idhar bhi dekhe raam, udhar bhi dekhe shyaam
kite chhip gaye wo mere bhagvaan
kite chhip gaye wo mere bhagvaan
mere bhagvaan
itse aaye raam, utse aaye shyaam

man me peer bhare, naino me nir bhare
man me pir bhare, naino me nir bhare
hriday me dhir dhare, khoj naina teri kare
hriday me dhir dhare, khoj naina teri kare
kaise main kya karun mere bhagvaan
kaise main kya karun mere bhagvaan
mere bhagvaan
itse aaye rama, ut se aaye shyaam

prem achal me bhare, shrdha ki anjli me
prem achal me bhare, shrdha ki anjli me
le naam tera darshan ko nain pasara kare
le naam tera darshan ko nain pasara kare
jara si chhavi dikhao, daya ke nidhaan
jara si chhavi dikhao, daya ke nidhaan
daya ke nidhaan
itse aaye rama, ut se aaye shyaam

anek me ek darshaya
sab kuchh nij me hi bataya
anek me ek darshaya
sab kuchh nij me hi bataya
apne me ram lakhaya, naarayan prem lagaya
apne me ram lakhaya, naarayan prem lagaya
kyun ab prtyaksh se chhipe bhagvaan
kyun ab prtyaksh se chhipe bhagvaan
chhipe bhagvaan
itse aaye rama, ut se aaye shyaam

idhar bhi dekhe raam, udhar bhi dekhe shyaam
kite chhip gaye wo mere bhagvaan
kite chhip gaye wo mere bhagvaan
mere bhagvaan
itse aaye rama, ut se aaye shyaam
itse aaye rama, ut se aaye shyaam
itse aaye rama, ut se aaye shyaam
itse aaye rama, ut se aaye shyaam
itse aaye rama, ut se aaye shyaam
Aake Bachale Oh Palanhare
Music: Jeetu Tapan
Lyricist: B.D.Mishra
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ganga-Kinare/Aake-Bacha-Le-O-
ye nanha sa deep hai mera isko tufano ne ghera
ab to ek sahara tera, ab to ek sahara tera
bujhta deepak tujhko pukare aake bachale o palanhare
bujhta deepak tujhko pukare
aake bachale o palanhare, palanhare
jay narayan jay narayan jay jay jay jay jay narayan
jay narayan jay narayan jay jay jay jay jay narayan
bujhta deepak tujhko pukare
aake bachale o palanhare, palanhare

mandir mandir murat teri har murat hai surat teri
pal pal hume jarurat teri, aas lagaye aaye tere dware
aaye tere dware
jay narayan jay narayan jay jay jay jay jay narayan
jay narayan jay narayan jay jay jay jay jay narayan

aasha nirasha hasna rona
jeevan pana jeevan khona
jo kuch bhi hai jis pal hona
hoga teri marji ke sahare tere sahare
jay narayan jay narayan jay jay jay jay jay narayan
jay narayan jay narayan jay jay jay jay jay narayan
bujhta deepak tujhko pukare
aake bachale o palanhare, palanhare

teri bhakti se jaaye nirasha
tu hi puri kare har aasha
phir kyu hum hi rah gaye pyase
teri kripa thi ganga kinare
raksha karo he rakhwale
kripa karo he rakhwale
jay narayan jay narayan
jay narayan jay narayan
jay narayan jay narayan
jay narayan jay narayan
Solah Baras Ki Baali Umar
Lyricist: Anand Bakshi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Duje-Ke-Liye/Solah-Baras-K
koshish kar ke dekh le dariya sare nadiya sari
dil ki lagi nahi bujhti, bujhti hai har chingari
solah baras ki
solah baras ki baali umar ko salam
pyar teri pehali nazar ko salam salam me
pyar teri pehali nazar ko salam
duniya me sab se pehle jisne ye dil diya
duniya ke sab se pehle dilabar ko salam
dil se nikalane wale raste ka shukriya
dil tak pahunchane wali dagar ko salam
pyar teri pehali nazar ko salam salam me
pyar teri pehali nazar ko salam

jisme javan ho kar, badnaam ham hue
jisme javan ho kar, badnaam ham hue
us shahar, us gali, us ghar ko salam
jisne hame milaye, jisane juda kiya
us vaqt, us ghadi, us gagar ko salam
pyar teri pehali nazar ko salam salam me
pyar teri pehali nazar ko salam

milate rahe yahan ham, ye hai yahan likha
is likhavat ki je-ro-jabar ko salam
sahil ke ret pe jo lehara utha ye dil
sagar me uthne wali har lehar ko salam
in mast gehari gehari aankho ki jhil me
jisne hame duboyaa us bhanvar ko salam
ghunghat ko tod kar ke, sar se sarak gayi
aisi nigodi bhali chunar ko salam
ulfat ke dushmano ne
ulfat ke dushmano ne koshish hazar ki
phir bhi nahi jhuki jo, us nazar ko salam me
pyar teri pehali nazar ko salam
solah baras ki baali umar ko salam
pyar teri pehali nazar ko salam salam me
pyar teri pehali nazar ko salam
Daana Paani-1
Singer: Anup Jalota
Music: Anu Malik
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Dana-Paani/Dana-Paani-Part-1/
daant diye hain jisne humko
doodh bhi humko wo hi dega
aas nirash ke do raahe par
daman apna bhar ke rahega

daant diye hain jisne humko
doodh bhi humko wo hi dega
aas nirash ke do raahe par
daman apna bhar ke rahega
pyala dil ka bharta jaye
dene wala nazar na aaye
rab ki baate rab hi jaane
jaan na pai zindgaani
dana paani, daana pani
har kisi ki yahi kahani
kaha milega kidhar milega
jaan na paai zindgaani
dana paani, daana pani
har kisi ki yahi kahani
Daana Paani
Singer: Anup Jalota
Music: Anu Malik
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Dana-Paani/Dana-Paani/RFgvUyt
dhana paani dhana paani har kisi ki yahi kahani
dhana paani dhana paani har kisi ki yahi kahani
kaha milega kidhar milega jan na payi jindagani
dhana paani dhana paani har kisi ki yahi kahani
kaha milega kidhar milega jan na payi jindagani
dhana paani dhana paani har kisi ki yahi kahani

shahar shahar firta hai gali gali bhatkta hai
dhana paani jaha bhi likha wahi ye leke jaata
shahar shahar firta hai gali gali bhatkta hai
dhana paani jaha bhi likha wahi ye leke jaata
ise bhi dekho use bhi dekho ek hi banda jise bhi dekho
kaise milega kab ye milega kya jaane ye gyani dhyani
dhana paani dhana paani har kisi ki yahi kahani
kaha milega kidhar milega jan na payi jindagani
dhana paani dhana paani har kisi ki yahi kahani

hath badhaye in rasto par insaano ki bhid to dekho
lule lagade pade bechaare inki bhi takdeer to dekho
hath badhaye in rasto par insaano ki bhid to dekho
lule lagade pade bechaare inki bhi takdeer to dekho
roti roti sabhi ko pyari apni himmat kabhi na haare
abhi milega kabhi milega iske liye duniya deewani
dhana paani dhana paani har kisi ki yahi kahani
kaha milega kidhar milega jan na payi jindagani
dhana paani dhana paani har kisi ki yahi kahani
Daana Paani-2
Singer: Anup Jalota
Music: Anu Malik
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Dana-Paani/Dana-Paani-Part-2/
kis kisko kis dhang se deta
uski chahat kya kahiye
kare jo mehnat pa leta hai
uski rahmat kya kahiye
kis kisko kis dhang se deta
uski chahat kya kahiye
kare jo mehnat pa leta hai
uski rahmat kya kahiye
hath hai uske lene dena
pyar ke uske kya hai kahna
kahin bhi jaao roti paao
ye jo mile duniya hai suhani
dana paani, dana paani
har kisi ki yahi kahani
kaha milega, kidhar milega
jaan na payi zindagani
dana paani, dana paani
har kisi ki yahi kahani
Aasmaan Se Zameen Par Utara
Singer: Anup Jalota
Music: Anu Malik
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Dadagiri/Aasman-Se-Zamin-Pe-U
is garibi ki diwaar ne ye kya kiya
mere mehbub se bhi na milne diya
is garibi ki diwaar ne ye kya kiya
mere mehbub se bhi na milne diya
vo kahi bhi rahe
vo kahi bhi rahe
vo salamat rahe
dil use ab bhi deta hai hurdam duaa
haan aasma se zami pe utaara hume
aasma se zami pe utaara hume
o duniyawaale jindgi de ke kyu mara hume
duniyawaale jindgi de ke kyu mara hume

aasma se zami pe utaara hume
aasma se zami pe utaara hume
o duniyawaale jindgi de ke kyu mara hume
duniyawaale jindgi de ke kyu mara hume